~Lehje me thodi narmi honi chahiye, logon ko kadak sirf chai pasand hai~
~Kitna tanha hai ye naya sheher, ki abhi tumhari yaadein tak nahi aayi hai yahan~
~Dil na hai umeed, nakaam hi to hai. Lambi hai gum ki shaam magar shaam hi to hai ~ Gulaam Nabi Azad
~Beta, jisko safalta nahi mili ho, usko bewakoof na samajhna ~ Mother of Manoj Bajpayee
~Jeena mushkil hai ki aasan jara dekh toh lo, Log lagte hain pareshaan jara dekh toh lo, Ye naya sheher toh khoob basaya tumne , Kuyn puraana hua viraan jara dekh toh lo ~ J Akhtar
~Toh man badaldo, paristhithiyan aagar nahi baldti. Toh nazar ko badaldo nazara badal jaata hai, soch ko badaldo sitaara badal jata hai, aur qasshti badalne ki zaroorat nahi hai, disha badal do kinara badal jaata hai ~
~Ek umar voh thi, jaadu pe bhi yakeen tha, Ek umar ye hai, haqiqat par bhi shak hai' ~
~Abhi kitaabon se seekh rahe ho to neend aa rahi hai, Jab zindagi seekhayeingi to neendein udh jayegi'~
~Ab toh nikal aa khudh ke andar se, Ghar mein samaan ki jaroorat hai' ~
~ Itna kuyn sihaye jaa rahi ho zindagi, humein kaunsa sadiyan guzarni hai yahan ~
~ Milawat ka zamana hain saahib, kabhi humari haan main haan, bhi mila diya karo ~
~ Hazaaron khwab toot te hain, tabh kahin jaakein subah hoti hai ~
~ Usne jeen bhar ke mujhe chaha phir hua yun ki uska jee bhar gaya ~
~ Bas itna chahiye tujse aye zindagi, ki zameen pe bethun toh log ussey mera baddapan kahein aukaat nahi ~
~Unki na thi gallti
hum hi ghalat samajh baithe
woh mohabbat se baat karte thai hum mohabbat hi samajh baithe~
~Bhool kar bhi museebat
mein na padna Kabhi
Kha ma Kha
apnon aur parayon ki
pehchaan ho jayein~
~Umr bhar bojh uthaya us keel ne,
aur log tareef tasveer ki karte rahe ~
~ Koi salah kara de, zindagi ki uljhano se, badi talab lagi hiai aaj muskuraane ki ~
~ Ladna chahta hun main apno se, lekin jeet gaya toh haar jaunga ~
~ Unhone ne kaha pathar dil roya nahi karte, to phir pahadon se jharne kuyn bhai karte hain ~
~ Tum mere baad tanha huyi ho main toh tumhare saath bhi akela tha ~
~ Likhna hai mujhe kuch gehra sa, kissey padh koi bhi sake, par samajh sirf tum sako ~
~ Tum mile toh kuyn laga mujhe khud se mulakaat ho gayi, kuch bhi toh nahi kaha magar zindagi se baat ho gayi ~
~ Suna tha, mohobbat milti hai, mohobbat ke badle main, humari baari aayi toh rivaaz badal gaye ~
~ Shikayaton ki bhi izzat hai, yeh har kisi se nahi ki jaati ~
~ Paanv ke iss katein ne bataya ki iss gali main gulaab hai ~
~ Bohot guroor tha chath ko chath hone par, ek manzil aur bani - chath farsh ban gayi ~
~ Ek hasrath thi, ki kabhi wo bhi humne manaye, par ye kambakth dil, kabhi unse rottha hi nahi ~
~ Chup hun toh pathar na samajh mujhe, dil pe asar hua hai kisi apne ki baat ka ~
~ Tum apni aukaat toh batate, hum apne aap ko todha aur gira lete ~
~ Lehron se khelne toh sagar ka shauk hai, lagti hai chot kaise, kinaro se puchiye ~
~ Agar sab kuch mil jaye ka zindagi mein toh tamana kiski karo gai, kuch adhuri khwaheishein toh zindagi jeene ka maza deti hain ~
~ vo waqt kabhi bhulaye nahi jaate, jinme waqt kum aur lamhe zyaada hon ~
~ Gairon se baad main uljhe gai, pehle apnon se toh fursat miley ~
~ Baithe raho yunhi haath bandh kar, manzil par tumhari koi aur pauhaunch jayega ~
~Yeh toh shauk hai humara shayri karna, kisi ki dukhti agar rag chun lun toh yaaron maaf karna ~
~ Woh kahani thi, chalti rahi, main kissa tha, khatam hua ~
~ Chitiya lag gayi hain namak ke dibbe pe, mainse tumse kaha tha, tum kuch bhi chua mat karo ~
~ Ye sard raat, yeh awaargi, ye neend ka bhoj, hum apne sheher main hote toh ghar chale jaate ~
~ Woh puchte hai ki gaalib kaun hai,
koi hume batlaye ki batlaye kya ~
~ Khudse jeetne ki zid hai, mujhe khud hi ko harana hai, main bheed main nahin hoon is duniya ki mere andar ek zamaama hai ~
~ Ek baar ulajhna hai tumse, bohot kuch suljhane ke liye ~
~ Murjhaya hua phool hoon toh kya hua, aaj bhi mujhe woh kitaabon ke beech saja ke rakhti hai ~
~ Na jaane kab se mujhe intezaar hai uss ka, jo keh kar gaya tha mera intezaar mat karna ~ J Akhtar
~Shaakon se toot jayein woh pattey nahin hai hum, aandhein se koi kehde ki aukaat mein rahe ~
~ Kuch is tarah maine apni zindagi ko aasaan kar liya, kisi se maafi maangli aur kisi ko maaf kardiya ~
~ Teri bewaafiyi ki angaaron main lipti rahi hai ruh meri, main iss tarah aag na hota jo hojati tu meri ~
~ Main tumse ab kuch nahi maangta ae khuda, teri dekar cheen lene ki aadat mujhe manzoor nahim ~
~ Usoonlon pe jahan baat aajaye toh takrana zaroori hai, jo zinda hun toh phir zinda nazar aana zaroori hai ~ Belarvi
~ Sehem si gayi hai khwaishein, zarooraton ne shayad unse unchi awaaz main baat ki hogi ~
~ Tujhe hi gale lagakar teri shikayat karne ka dil karta hai ~
~ Kaun kehta hai, ki hum jhoot nahi bolte, ek baar kahriyat to pooch ke dekhiye"
~ Vada kar gaye the woh paanchve din ka, kisi se sun liya hoga ki zindagi chaar din ko hoti hai ~
~ Kamaal karte hain humse jalne waale, mehfilen khudh ki, aur charche humare ~
~ Bas itni si baat samundar ko khal gayi, ki ik kaagaz ki naav mujh pe kaise chal gayi ~
~ Saari shikayaton ka hisaab jod kar rakha tha maine, us ne gale laga kar saara hisaab bigaad diya ~
~Koi sulah kara de
zindagi ki uljhanon se
badi talab lagi hai aaj muskurane ki~
~Hum ne mohabbat ke nashe mein
aa kar unhein Khuda bana dala
Hosh toh tab aaya jab unhone
Kaha ki Khuda kisi ek ka nahi hota ~
~ Parkha bohot gaya hai, mujhe lekin samjha nahi gaya ~
~ Kabhi kabhi dil chahta ki main ekduym khaamosh bethun, aur koi mujhe gaur se sune ~
~ Bahut andar tak jaladeti hai woh shikayatein jo bayan nahi hoti ~
~ Bohot der kardi tumne lautne main, barbaad fuslon koi baarishon ki duayein nahi lagti ~
~ Jara ye dhoop dhal jaye toh haal puchein gai, yahan kuch saye apne aap ko khuda batate hain ~
~ Ghonsle to parindo ne majboot banaye the, woh shaakh thi jo tufaan main tik na saki ~
~ bachpan main bhari dupehri main naap aate the pura moholla, jabse degree samajh main aayi hai, paanv jalne lagein hai ~
~ Jaane kitne jhulein hai faasi par, kitno ne goli khayi thi, kuyn jhoot molte ho sahab ki charkhe se aazadi aayi thi ~
~ Kuch khwahishen toh adhuri iss liye reh gayi kuynki waqt toh bohot tha, magar utna sabr nahi ~
~ Baat sajdon ki nahi, neeyat ki hai, maikhaane main har koi sharaabi aur masjid main har koi namaazi nahi hota ~
~ Baehad khyaal rakha karo tum apna, meri aam si zindagi main bohot khaas ho tum"
~ Badi aristocracy hai zubaan main, fakeeri main bhi nawabi ka maza deti hai yeh urdu ~
~ Hota haath toh kabka chudha lete, pakde baithein hai woh nigahon se humein ~
~ Logo ne kayi koshish ki mujhe mitti main dabane ki, lekin unhe nahi maalum main beej hun sahab aadat hai meri ugg jane ki ~
~ Naraajgi mujhe kuch aise bhi jataani hai, woh khafa jis roz ho kajal nahi lagati hai woh ~
~ Badle hai unke mizaaj kuch dino se, woh baat toh karte hai, magar baatein nahi ~
~ Maana mausam bhi badalte hain, magar dheere dheere tere badalne ki raftaar se toh hawayein bhi hairaan hai ~
~ Faaslon ka ehsaas tab hua, jab maine kaha "theek hoon" aur unhone maan liya ~
~ Paed kaatne aaye the kuch log mere gaon main, abhi dhoop tej hai, keh kar baithe hain uski chaanv main ~
~ Benaam sa dard tehar kuyn nahi jaata, jo beet gaya, woh guzar kuyn nahi jaata ~
~ Humesha daer kardeta hun main, zaroori baat kehni ho, koi vaada nibhana ho, usse awaaz deni ho, usse vapas bulana ho, humesha daer kardeta hun main ~